Kal ke bartan raah dekh rahe hai
laxmibai ki
mai khada waise hi ...kisi safai ki talash me
coke ka khali can
jaise hai pichakne ko taiyaar
waise hi mai bhi taiyyar ek naye din ke liye
staion par Bisleri ki purani bottle me
paani bhar ke bechte huye bacche
din me
do - chaar anjaan fans hi jaate hain
kabhi kabhi mai
khali coke ca can
jisko piya ja chuka hai
kabhi kabhi mai
wohi musafir
Bisleri peeta hua
kabhi kabhi mai
bidai ke baad wala aangan
samaze hi na ki kaun beechad gaya hai
har roz
kuch naya - par bahot kuch
purana
jo badalta hi nahi
dubte - gehrate
dolte nachate
kaarvan to gujar jaayega
mazil abhi dur dur tak najar nahi aati
No comments:
Post a Comment