Saturday, June 28, 2008

ye aasma mera hai

kehte ho ki chadho ooncha
aur gire tab bhi awaz na ho

kehte ho ki lado accha
lekin koi akrosh bhi na ho

ajab najara jaane kaun
bina satta tumhe ab maane kaun
Agar ab na aa sake kisi ke kaam
to tum ab ho khali jaam
jiske peene me ab nahi hai raam

Ae badal ab ke barso itni teji se
ki na rahe malal peechli baarishon ka
beete lamhon ka wajan bahakar
mai beh jaao din raat ke mele me

kho jaaun itna
ki na ho pata bhi apana jeb me
hosh kho doon itne
ki pooche koi pata to bas keh doon
ye aasma mera hai

No comments: